ye chandni ye sitare ye aabshaar ye jhil
ye jugnuon ki chamak aur ye titliyon ki uDan
ye koyalen ye papihe tarah tarah ke ye phul
ghane ghane se daraKHton ke miThe miThe phal
hasin KHwab mein bachche ki jadui muskan
wafa KHulus mohabbat jihad qurbani
ye sab qadim hain in mein naya to kuchh bhi nahin
hamare apne masail bhi sab purane hain
ye kusht-o-KHun ye ghaarat-gari ye barbaadi
hawa-o-hirs-o-mazalim ki dastan-e-tawil
gali gali ye sharab-o-shabab ke fitne
zar-o-zamin ka ab tak wahi qadim fasad
ye sari baaten hamesha se thin aur aaj bhi hain
ye baat ab bhi nahin tai hui ki sach kya hai
agar yahi hai muqaddar hamari duniya ka
kisi rasul ke aane ki kya zarurat thi
Nazm
Na-guzir
Asghar Mehdi Hosh