main hun sar-chashma-e-awwal se bahut dur
pae-nur bhaTakne wala
raushni aks-ba-aks aati hai in aankhon tak
aaine apni KHayanat se nahin KHud waqif
in ko malum nahin
zawiye in ke badal dete hain kirnon ka mizaj
aaj is nur-e-moharraf se hai aankhon mein thakan
dil mein KHannas ki sargoshi-e-paiham ki chubhan
kash sar-chashma-e-awwal se utar aae koi rast kiran
jo meri ruh ki zulmat mein ujala kar de
main ki hun kor mujhe dekhne wala kar de
Nazm
Na-binai mein ek KHwab
Khursheed Rizvi