اردو हिंदी
Na sataish ki tamanna | Shaahi Shayari
na sataish ki tamanna

Nazm

Na sataish ki tamanna

Hameed Almas

;

nida aai
amboh-e-shaidaiyan

nazninan-e-shahr-e-taKHayyul
ghazalan-e-fikr-o-nazar

gham-gusaran-e-dar-o-salib-orasan
dair se aqidat ki nayab saughat le kar

dar-e-gumbad-e-fan pe sajda-kunan hain
pae-didan-e-manzar-e-shad-kaaman

baDi tamkanat se uTha
uTh ke main ne

jo dekha to had-e-nazar tak farokash
lahu ki lakiron ka ek karwan tha

kabhi jo rag-o-pai mein meri rawan tha