baat niklegi to phir dur talak jaegi
log be-wajah udasi ka sabab puchhenge
ye bhi pochhenge ki tum itni pareshan kyun ho
ungliyan uTThengi sukhe hue baalon ki taraf
ek nazar dekhenge guzre hue salon ki taraf
chuDiyon par bhi kai tanz kiye jaenge
kanpte hathon pe fiqre bhi kase jaenge
log zalim hain har ek baat ka tana denge
baaton baaton mein mera zikr bhi le aaenge
un ki baaton ka zara sa bhi asar mat lena
warna chehre ke tassur se samajh jaenge
chahe kuchh bhi ho sawalat na karna un se
mere bare mein koi baat na karna un se
baat niklegi to phir dur talak jaegi
Nazm
Na jaane kya ho
Kafeel Aazar Amrohvi