shafaq jab phul kar rang-e-hina thi
aur hawa ke lab sile the
ek buDha peD bargad ka
khaDa ganga-kinare
dil-girafta
KHud se mahw-e-guftugu tha
wo meri ek shaKH ka patta
mere hi jism ka hissa
gira
gir kar sitara ho gaya
pani ka pyara ho gaya
mujh se kinara ho gaya
wahin sargoshiyon mein
ek patinga
gungunaya kan mein us ke
nirasha tum mein kyun jagi
mere baba?
tumhaare ang ke kitne hi patte
ab bhi gun gate tumhaara hain
sahaara tum bano un ka
tumhaara wo sahaara hain
na ek patte ko ro baba!
Nazm
Na ek patte ko ro baba
Jafar Sahni