palaT kar dekh bhar sakti hain
bheDen
bolna chahen bhi to bolengi kaise
ho chuki hain salb aawazen kabhi ki
lauTna mumkin nahin hai
sirf chalna aur chalte rahna hai
KHwabon ke ghaar ki jaanib
jis ka rasta
sunahre bheDiyon ke danton se ho kar guzarta hai
Nazm
Na hath bag par hai na pa hai rikab mein
Aadil Raza Mansoori