اردو हिंदी
Na di angrez ne ghaalib ko pension | Shaahi Shayari
na di angrez ne ghaalib ko pension

Nazm

Na di angrez ne ghaalib ko pension

Mohammad Yusuf Papa

;

bahut hun jaan se bezar yaro
hui talim dil par bar yaro

mujhe banna nahin fankar yaro
surayya se hai mujh ko pyar yaro

mujhe karni hai dil ki baat meintion
attention ai dil-e-nadan attention

hai bhautik-shastr mein ek chiz light
karen gar tajraba jati hai sight

ajab hoti hai kuchh rangon mein fight
ki mil kar sat ho jate hain white

mangao magnet dekho detention
attention ai dil-e-nadan attention

chalo ab period mehndi ka aaya
kahin darshan kahin rupak ki chhaya

guru ne sorTha jam kar paDhaya
hamari to samajh mein kuchh na aaya

'kabir' aur 'sur' mein rahta hai tension
attention ai dil-e-nadan attention

har ek science ka chhika gaDant hai
baDa dushman mere ji ka gaDant hai

tap-e-diq ka naya Tika gaDant hai
namak bilkul nahin phika gaDant hai

baDha jata hai har step pe tension
attention ai dil-e-nadan attention

hai urdu ka bhi lamba pir saqi
banati hai haram ko dair saqi

kahin 'momin' ka zikr-e-KHair saqi
kahin 'nasiKH' ki haalat ghair saqi

na di angrez ne 'ghaalib' ko pension
attention ai dil-e-nadan attention