naghma-e-pur-kaif lab par dast-e-nazuk saz par
mutriba qurban ho jaun main is andaz par
gate gate ek ada ke sath ruk jaana tera
phir usi lai main usi andaz se gana tera
ruTh kar man kar laja kar muskura kar naz se
khinch di taswir har jazbe ki sau andaz se
chitwanon se gah barsa din bala ki shoKHiyan
gah bhar lin mast aankhon mein haya ki bijliyan
gah abru KHanjar-e-saffak ho kar rah gae
gah aariz ashk se namnak ho kar rah gae
Nazm
Mutraba
Moin Ahsan Jazbi