aur bisat-e-KHayal be-payan
aur muayyan hudud-e-sharh-o-bayyan
tez-raftar gardish-e-haalat
aur aahistagi-e-umr rawan
ajnabiyyat ka mustaqil ek bojh
aur shanasaiyon ka bar-e-giran
aql ki KHami narasi dil ki
aur tasawwur-shikan haqiqat-e-jaan
muKHtalif har wajud pesh-e-nazar
aur imkan-e-wahdat-e-imkan
fikr uqda-kushaiyon pe musir
aur sar-rishte hi ka KHud fuqdann
intiha silsilon ki na-malum
aur har lamha silsila-e-jumban
mutawatir marahil-e-talim
aur musalsal madarij-e-nisyan
shoba-ha-e-KHayal be-tamiz
aur bahr-e-shanaKHt mohr-o-nishan
chaar jaanib sarahton ka hujum
aur bahr-e-rumuz be-payan
sail-e-bairun rawan ba-tarz-e-digar
aur ju-e-andarun alag si rawan
ek khoi hui fazae-hayat
aur ehsas-o-fikr sab ghaltan
aur sanson ki rahguzar pe hujum
aur aankhon ki rahguzar viran
Nazm
Mutazad zawiye
Abdul Ahad Saaz