tere liye mein kya kya sadme sahta hun
sanginon ke raj mein bhi sach kahta hun
meri rah mein maslahaton ke phul bhi hain
teri KHatir kanTe chunta rahunga
tu aaega usi aas pe jhum raha hai dil
dekh ai mustaqbil
ek ek kar ke sare sathi chhoD gae
mujh se mere rahbar bhi munh moD gae
sochta hun be-kar gila hai ghairon ka
apne hi jab pyar ka nata toD gae
tere bhi dushman hain mere KHwabon ke qatil
dekh ai mustaqbil
jahan ke aage sar na jhukaya main ne kabhi
siflon ko apna na banaya main ne kabhi
daulat aur ohdon ke bal par jo ainThe
un logon ko munh na lagaya main ne kabhi
main ne chor kaha choron ko khul ke sar-e-mahfil
dekh ai mustaqbil
zulf ki baat kiye jate hain
din ko yun raat kiye jate hain
chand aansu hain unhen bhi 'jalib'
nazar haalat kiye jate hain
Nazm
Mustaqbil
Habib Jalib