kyun gunahgar banun wisa-faramosh rahun
kab talak KHauf-zada surat-e-KHargosh rahun
waqt ka ye bhi taqaza hai ki KHamosh rahun
ham-nawa! main koi mujrim hun ki ru-posh rahun
shikwa america se KHakam-ba-dahan hai mujh ko
chunki is mulk ka sahra bhi chaman hai mujh ko
gar tere shahr mein aae hain to mazur hain hum
waqt ka bojh uThae hue mazdur hain hum
ek hi job pe muddat se ba-dastur hain hum
'bush' se nazdik 'musharraf' se bahut dur hain hum
USA shikwa-e-arbab-e-wafa bhi sun le
talib-e-aiD se thoDa sa gila bhi sun le
tera parcham sar-e-aflak uDaya kis ne
tere qanun ko sine se lagaya kis ne
har senator ko election mein jitaya kis ne
fund-rasing ki mahafil ko sajaya kis ne
'hilary' se kabhi puchho kabhi chak-schumer se
har senator ko nawaza hai yahan dollar se
jackson-heights ki galiyon ko basaya hum ne
coney-island ki zinat ko baDhaya hum ne
goriyon hi se nahin ishq laDaya hum ne
kaliyon se bhi yahan aqd rachaya hum ne
aa ke is mulk mein rishte hi faqat joDe hain
bam to kya hum ne paTaKHe bhi nahin chhoDe hain
jab bura waqt paDa hum ne sambhaali masjid
kab talak rahti musalman se KHali masjid
jab hui ghar se bahut dur bilali masjid
hum ne tah-KHane mein chhoTi si bana li masjid
hum ne kya jurm kiya apni ibaadat ke liye
sirf milad kiya jashn-e-wiladat ke liye
hum ne rakkhi hai yahan amn-o-aman ki buniyaad
apni fitrat mein nahin dahshat o danga o fasad
har musalman pe USA mein paDi hai uftad
phir bhi hum ne tere shahron ko kiya hai aabaad
tujh se iqrar-e-mohabbat ki saza pai hai
hum ne is mulk mein jhaTke ki chikan khai hai
gir gaya tez hawaon se agar tayyara
pakDa jata hai musalman yahan be-chaara
kabhi ghura kabhi taDa to kabhi lalkara
kabhi subway se uThaya kabhi chhapa mara
tu ne ye kah ke jahazon ko karachi bheja
ye bhi shaklan hai musalman ise bhi le ja
hum musalman hain dahshat ke rawadar nahin
kisi KHitte ke bhi insan se bezar nahin
qatl aur KHun ki siyasat ke taraf-dar nahin
dafe-e-jang faqat phul hain talwar nahin
hum yahan amn ke hami hain tujhe fikr nahin
mere quran mein dahshat ka kahin zikr nahin
media tera dawat aur qalam tere hain
jitne bhi mulk hain dollar ki qasam tere hain
ye shahanshah ye arbab-e-haram tere hain
kash tujh ko yaqin aa jae ki hum tere hain
tu ne jab bhi kabhi manga hai tujhe tel diya
tujh ko jab mauqa laga tu ne hamein bel diya
haalat-e-jang mein hum log tere sath rahe
taki duniya ki qayaadat mein teri baat rahe
aur musalman hi mahrum-e-inayat rahe
kuchh to diport hue nazr-e-hawalat rahe
hum tere sab se baDe halqa-e-ahbab mein hain
phir bhi tufan se nikalte nahin girdab mein hain
aiD mein teri ajab marka-arai hai
maut ke saz mein lipTi hui shahnai hai
aslaha de ke jo dushman ki pazirai hai
hum wafadar nahin tu bhi to harjai hai
rahmaten hain teri aghyar ke kashanon par
chhapa paDta hai to bechaare musalmanon par
Nazm
Muslim umma ka America se shikwa
Khalid Irfan