log kahte hain ki aamada-e-islah hai league
ye agar sach hai to hum ko bhi koi jang nahin
segha-e-raaz se kuchh kuchh ye bhanak aati hai
ki ham-ahangi-e-ahbab se ab nang nahin
farq itna to ba-zahir nazar aata hai zarur
ab KHushamad ka har ek baat mein wo rang nahin
arz-e-matlab mein zaban kuchh to hai khulti jati
garche ab tak bhi harifon se ham-ahang nahin
wo bhi ab naqd-e-hukumat ko parakhte hain zarur
jin ko ab tak bhi tamiz-e-guhar-o-sang nahin
qaum mein phunkte rahte hain jo afsun-e-wafa
un ki afsana-taraazi ka bhi wo Dhang nahin
wo bhi kahte hain ki is jins-e-wafa ki qimat
jis qadar milti hai zarre ke bhi hum sang nahin
aage the halqa-e-taqlid mein jo log asir
sust-raftar to ab bhi hain magar lang nahin
aap liberal jo nahin hain to bala se na sahi
yan kisi ko talab-e-afsar-o-aurang nahin
kaam karne ke bahut se hain jo karna chahen
ab bhi ye daera-e-sai-o-amal tang nahin
sal mein ye jo tamasha sa hua karta hai
kaam karne ka ye andaz nahin Dhang nahin
kuchh to nazm-o-nasq-e-mulk mein bhi dijiye daKHl
shewa-e-haq-talabi hai ye koi jang nahin
kuchh na kuchh nazm-e-hukumat mein hai islah zarur
hum na manenge ki is aaina mein zang nahin
kam se kam hakim-e-izla to hon ahl-e-watan
kya hazaron mein koi sahib-e-farhang nahin
Nazm
Muslim-league
Shibli Nomani