musibat ki KHabren
suno sham walo musibat ki KHabren
gareban daman talak chaak kar do
saron par sawaron ki rondi hui KHak Dalo
abu-qais ko maut ne kha liya hai
amir-e-damishq in dinon sogwari mein hain
ghamon ke andheron mein jakDe hue
huzn ki aag se un ka dil jal gaya
aah bu-qais ki maut ke bar se jhuk gae hain KHalifa ke shane
abu-qais kya tha tumhein kya KHabar sham walo
abu-qais baDe shahsawaron mein tha
wo KHalifa ka raaz-ashna, bandagan-e-KHuda mein muqarrab
yazid-ibn-e-maisun ki shab ka sathi
abu-qais hinda ke pote ka tanha sahaara
wahi surKH bandar
jo maisun apne qabile se lai
bahut shauq se nam us ka abu-qais rakha
phir apni amanat arab aur ajam ke KHalifa ko saunpi
usi sahib-e-taKHt-o-taj-o-tarab ko
jise aaj islam ki pasbani ka pura sharaf hai
usi ka aur abu-qais bandar
KHuda us ko baKHshe
use ghuD-sawari mein aisi mahaarat thi jis ka bayan karna qudrat se bahar
kisi shKHs-e-bad-baKHt ne us ke ghoDe ko bidka diya
us ke panw rikabon se nikle
abu-qais niche gira aur milon talak Thokaron par raha
aah kis be-kasi mein adam ko sidhaara
musibat, musibat
suno ahl-e-islam
abu-qais ki maut aisa baDa saneha hai
ki jis ki musibat se aal-umayya ke qasron mein rakh aur dhuan bhar gaya hai
dua!
dua ki zarurat
abu-qais ki maghfirat ke liye
aur yazid-ibn-e-hinda ke sabr o jaza ke liye
Nazm
Musibat ki KHabren
Ali Akbar Natiq