raat teri meri aarzuon ka maskan ye raat
ghur kali siyah baadalon se aTi
tere mere gunahon sawabon
sawalon jawabon se aari ye raat
KHun ki hiddaton mein dahakti hui
sare KHwabon ka indhan banati hui
ratjagon ki chita
jo teri meri aankhon mein bhaDki
bhaDak ke bujhi
sari umron ke dukh
aati jati har ek sans mein hain sambhaale hue
sans jo aas ki dosti ko bhula bhi chuki
dhire dhire simaTti hui
kin yugon par nazar ko jamae hue
barf hone lagi
raat wade sabhi asal ke
jo na pure hue
kyun kiye
kor aankhen bhikari bani hain
mujassam sawali bani hain
KHamoshi ka kasa liye
wasl ki rezgari ke hain muntazir
chhan chhanan
koi aawaz koi bhi
KHushiyon ke sakun se labrez aawaz
aankhen sunin
kaise lekin sunin
surmai sham apna labaada badal bhi chuki
raat aai
ye Doli nahin kuchh janaze uThae hue
sare wade bhulae hue
shahr-e-afsos
ek matam lahu ki rawani mein hai
rakh hi rakh aankhon ke pani mein hai
Nazm
Mushtarka KHwab ki qabr par
Dawood Rizwan