اردو हिंदी
Musawwir ka hath | Shaahi Shayari
musawwir ka hath

Nazm

Musawwir ka hath

Athar Raz

;

mashinon se use nafrat thi
lekin kar-KHane mein

mashinon ke siwa
un ka koi hamdam na sathi tha

wo KHwabon ka musawwir jis ke KHwabon mein umuman
talKHiyan bhi rang bharti thin

kabhi man ki dawa bahnon ki shadi
kabhi yaad-e-watan ki chashni wisky ki kaDwahaT

to us ke apne andar ka musawwir
us se kahta tha

main qaidi hun mujhe bahar nikalo
mujhe izhaar ke sanchon mein rakh kar

libas-e-sham pahna do
sahar ki tazgi le kar mujhe rangon se nahla do

magar ek din use ku-e-malamat se nikalna tha
mashinen chal rahi thin aur us ka hath

us ke jism se kaT kar
zamin par gir paDa tha

wahin man ki dawa bahnon ki mehndi
aur bima ki raqam lahu mein tar-ba-tar thi