wo achanak chal diya goya safar tha muKHtasar
zindagi-bhar jo safar karta raha chalta raha
chhanw mein aflak ki palta raha Dhalta raha
pas jo punji ujalon ki thi sab kuchh banT kar
rah ke be-maya zarron ko bana kar aaftab
KHud se la-parwa zamane ki nazar se be-niyaz
zohd se fitri lagao dil mein tauqir-e-hijaz
jaane kyun us ko pasand aai thi zindi ki naqab
marhale tarik the aur manzilen tarik tar
us ki nannhi raushni paiham rahi zulmat-shikan
sarsar-e-be-eatidali se gurezan fikr-o-fan
hosh mein tha ta-dam-e-aKHir zamir-e-mo'atabar
wo musafir tha adam ki rah mein gum ho gaya
gham to is ka hai ki ek achchha sa insan kho gaya
Nazm
Musafir
Aziz Tamannai