ufuq ta ufuq nilgun aasman
musafir parindon ki manzil kahan
bahut dur pichhe ko us bahr ke mawara
utarti rahi barf jamti rahi tah-ba-tah aashiyanon ke pas
tab nazare nazar-ashna
izn-e-awargi zad-e-afsurdagi de ke tharrae ba-chashm-e-tar
ki shayad bahut dur aage ko
us bahr ke mawara
zamurrad juDe sahilon ne suna ho salam id ka
dhup ke jashn aahaTen
naghma-e-garm KHurshid ka
ufuq ta ufuq nilgun aasman
koi shaKH-e-gul hai na koi munDer
ghaDi-do-ghaDi pankhuDi jaise par joD kar baiTh jaen jahan
ghaDi-do-ghaDi chahchahaen jahan
koi apne dukhte ko ko agar agar mein gir gaya
zara bhi fazaon ka daman na bhiga
na wahshi hawaon ka tufan ruka
sitare ba-dastur nilahaTon mein chamakte rahe
misl-e-gardab gardan shab-o-roz ki charKHiyan
musafir parindon ki manzil kahan
bahut dur pichhe ko us bahr ke mawara
har nai dil-kusha agni munjamid
zer-e-ahram yaKH-mahw-e-KHwab
saz nahron ke darbar-e-fasl-e-bahaaran ke
tabut sadr nag Tilon ke phulon ke
taj-o-guhar
munjamid zindagi ki fughan
bahut dur aage ko us bahr ke mawara
wo ek raushni ka jahan
wo ek gul pas-e-KHar-zar
wo ek dana-e-zer-e-dam
use dekhna aur ThiThakna bhi kya chiz hai
magar aah us moD par aaj parwaz-o-awaz thi
hasil-e-musht par
hasil-e-dastan
Nazm
Musafir parinde
Shafiq Fatima Shera