jab masjidon aur imam-bargahon mein
naqab lagai jati thi
to kai be-rang daere sawaliya nishan liye
hamare raste mein aa khaDe hote
ki kalisaon aur mandiron ka nizam kaun se KHuda ke pas hai
jo amn ki faKHtaon ko
ibaadat-gah ke raushan-danon mein bhej deta hai
isi sawal mein jawabi rang bharne ke liye
hum ne lahhu ko barud mein ghol kar insaniyat ka bharam ganwa liya
ab kisi bhi nam ka jangal pukare
maut par phaila ke nachti hai
aur hum duaiya hathon mein qabr khodne ke liye
zamin DhunDte hue
apne jismon mein dafn KHairaati sanson pe palti
zindagi ke gaz napte hain
hum siyah labon se nikli hui bad-duaon ka
waqt-e-qubuliyat hain
isi liye to nishana-baz maut hamein
ibaadat-gahon mein bhi DhunDh leti hai
hum muTThi bhar log tumhaare TukDon pe palne aa gae
to tumhaari taffun ugalti galiyon ne
rozgar pe laga diya
rizq to kuDa-karkaT ke Dher se bhi mil jata hai
magar wo udhDe hue adh-jale jism
kahan talash karen
jo KHuda se muzakaraat karne gae the
aur TukDon ki surat kalisaon ki saffak diwaron pe
chaspan kar diye gae
aur hum jahannam-rasida log al-widai sham ki
KHak phankne aae hain
ki suna tha shahar mein phir se
bikhre hue chehron ki numaish hai
Nazm
Murda logon ki taswiri numaish
Sidra Sahar Imran