meri ragon mein KHunuk suiyan pirota hua
barhana lashon ke ambar par se hota hua
hawa ka hath bahut sard, maut jaisa sard
wo ja raha hai, wo darwaze sar paTakne lage
wo balb TuT gaya, sae sath chhoD gae
wo nachte hue bheje kisi raqiq se tar
wo rengte hue bazu, wo chiKHte hue sar
wo honT nim-tarashida, dant nikle hue
wo nisf dhaD chale aate hain raqs karte hue
wo jism sahme hue band martabanon mein
jo baat ki to unhen tez-o-tursh zahr mila
jo chup hue to unhen suliyon pe Tang diya
chhupi hain saikDon bad-ruhen in fazaon mein
wo ghurti hui aankhen kahin KHalaon mein
zamin ke malik-e-derina ki talash mein hain
jarahaton ke nishan har KHamida lash mein hain
aur ek sada chali aati hai, har jarahat se
ye sare zaKHm muqaddar hue hain maut ke baad
sukun-e-lafz-o-bayan o sukut-e-saut ke baad
baDi bisand hai ThiThuri hui hawaon mein
main ghir gaya hun lahu chaTti balaon mein
wo ek burida zaban aai laDkhaDati hui
hansi Daraoni sargoshiyon mein kahne lagi
tum apni lash liye bhag jao jaldi se
na san sakoge ki hain maut ke fasane bahut
mata-e-jism salamat ki murda-KHane bahut
Nazm
Murda-KHana
Saqi Faruqi

