jalwa-e-husn-e-azal aae tasawwur mein agar
gosha-e-dil mein machalte hue arman honge
ek hasin gor-e-ghariban pe hua yun goya
ye bhi kambaKHt kabhi hazrat-e-insan honge
panw rakhte bhi nazakat se agar honge kahin
be-badal husn-e-jahan-soz pe nazan honge
phul bistar pe bichhane ko agar hasil the
sair ke waste bagh aur gulistan honge
itr malne ke liye kapDe badalne ke liye
mahl-o-aiwan mein bahut dast-e-hasinan honge
nit-nai rose mayassar thi unhen bazm-e-surud
dil bahalne ke liye sainkaDon saman honge
ek lamha bhi guzarta tha jo tanhai mein
muztarib aur pareshan ye zishan honge
gor-o-marqad pe yunhi sair ko aate honge
aur sinon mein liye hasrat-o-arman honge
kya KHabar thi ki ujaD jaega gulzar-e-hayat
ek jhonke se hawa ke na ye saman honge
kya yunhi maut miTaegi jahan se hum ko
kya yunhi apne liye dasht-o-bayaban honge
zindagi mein na karenge jo bashar kar-e-sawab
waqt-e-ruKHsat wo pareshan-o-pasheman honge
'aftab' un ki samajhta hun hayat-e-abadi
jo bashar dharm pe sau-jaan se qurban honge
Nazm
Muraqqa-e-ibrat
Lala Anoop Chand Aaftab Panipati