dahakte suraj ka surKH chehra
lapeT kar rakh diya gaya hai
KHala mein sayyare bikhre bikhre hain
jof-e-aflak phaT paDa hai
pahaD dhunke hue fazaon mein tairte hain
athah sagar kaf-e-dahan se sulagte lawe
ugal rahe hain
koi mere muntashir anasir ko
phir se pahla sa rup de kar
kashan kashan le chala hai goya
jhulas raha hai badan
meri haDDiyan pighalne lagi hain
aankhon mein dekhne ki sakat salamat hai
dekhta hun har ek chehre mein apne chehre ka aks
lekin kisi mein pahchan ki jhalak tak nahin hai
har ek band muTThi mein purza-ha-e-siyah thame
ye sochta hun siyahiyon ko dhulaun kaise
mere pas-e-pusht kale auraq
tez nazron ki zad mein larzida dam-ba-KHud hain
main chiKH uThta hun
meri aawaz mere sine mein ghuT rahi hai
main hath uThata hun
hath shal hain
duhai deta hun
sunne wala mere siwa koi bhi nahin hai
hazaron hamdam karoDon ham-shakl hain
magar koi bhi nahin hai
Nazm
Murajat
Aziz Tamannai