اردو हिंदी
Muqabla-e-husn | Shaahi Shayari
muqabla-e-husn

Nazm

Muqabla-e-husn

Fahmida Riaz

;

kulhon mein bhanwar jo hain to kya hai
sar mein bhi hai justuju ka jauhar

tha para-e-dil bhi zer-e-pstan
lekin mera mol hai jo in par

ghabra ke na yun gurez-pa ho
paimaish meri KHatm ho jab

apna bhi koi uzw napo!