hamare jaise ajib logon ki ranjishon ka
malal kis ko
zamin karti hai bain
aansu falak bahata hai chupke chupke
faza mein siski si tairti hai
hain sar-ba-zanun tamam manzar
kahin chhini hai kisi ki guDiya
kahin phaTi hain nai kitaben
kisi ki shah-rag pe koi jhapTa
kisi ki galiyon mein KHun bikhra
suna hai hum ne
ki is shujaat pe tamgha milega us ko
baDi nafasat se us ne chhanTe hain apne rewaD
maweshi sare baTe hue hain
ye rang o zat o nasl un ke bane tawile
sab apni KHushiyon ghamon ko banTenge apni had mein
ki bheD bakri se mil na pae
na gae bhenson mein hon kulelen
suna hai us ke nizam-e-mulki pe sab hain nazan
use hi baKHshenge phir se wo mansab-e-hazari
hamare jaise ajib logon ki aankhon mein
kyun hai itna pani

Nazm
Muntazim
Shahnaz Nabi