purana pasban zill-e-ilahi ka
jise chahe kare mansab ata aalam-panahi ka
use tarkib aati hai
kisi mazmun-kohna ko naya unwan dene ki
wo dida-war hamesha se muayyan hai
hamare raste ke past-o-baala par
wo dana apne mansube banata hai
hamari fitraton ki KHak zulmat se
hamari KHwahish-e-takrar ki derina aadat se
wo mabad-e-saz but-gar apni hasti ke taqaddus mein
sada mahfuz rakhta hai
hamare ghar ko tahqiqi tajassus ki balaon se
kahin auham ki umda shabihon mein
saqafat ke nigaristan sajata hai
kahin KHush-fahmiyon ke istiare se
hare lafzon ke baghiche khilata hai
kahin nok-e-sinan ke ism o afsun se
lahu ki bund mein taslim ki kirnen jagata hai
qulub ahl-e-zamin ke us ki muTThi mein dhaDakte hain
shuur us ka sada mamur rahta hai
hamein achchhe bure ke falsafe ki aaD mein
hum se chhupane par
magar is ka mudawa kya
ki wo parwardigar-e-zor-e-hikmat apni nindon mein
hamesha se
wajud-e-fard mein ek muztarib si shai se Darta hai
wo shai jis ki haqiqat
waqt ka iblis us par fash karta hai
Nazm
Munkir ka KHauf
Aftab Iqbal Shamim