ek aawaz ubharti aa rahi hai
dudhiya si raushni ek
parda-e-binai se ho kar guzarti guzarti ja rahi hai
salb hoti ja rahi hai
quwwat-e-inkar bhi
iqrar bhi
kuchh ho raha hai ya kahun kuchh hai
nahin malum kya hai aur kyun kuchh hai
ek amboh-e-farawan
jauq-andar-jauq sab afrad
iqra ki taraf jate hue
aur main udhar ghaar-e-hira ki
chuhl-sala KHamushi mein
mahw hota ja raha hun
ek 'hai' aur is qadar maujud
la-maujud bhi 'hai' aur main
ab us ko KHuda mein qaid kar ke
munkir-e-haq ho raha hun
indar andar ro raha hun
Nazm
Munkir-e-haq
Shahram Sarmadi

