اردو हिंदी
Munajat-e-bewa | Shaahi Shayari
munajat-e-bewa

Nazm

Munajat-e-bewa

Altaf Hussain Hali

;

(1)
ai sab se awwal aur aaKHir

jahan-tahan, hazir aur nazir
ai sab danaon se dana

sare tawanaon se tawana
ai baala, har baala-tar se

chand se suraj se ambar se
ai samjhe bujhe bin sujhe

jaane-pahchane bin bujhe
sab se anokhe sab se nirale

aankh se ojhal dil ke ujale
ai andhon ki aankh ke tare

ai langDe lulon ke sahaare
natiyon se chhoTon ke nati

sathiyon se bichhDon ke sathi
naw jahan ki khene wale

dukh mein tasalli dene wale
jab ab tab tujh sa nahin koi

tujh se hain sab tujh sa nahin koi
jot hai teri jal aur thal mein

bas hai teri phul aur phal mein
har dil mein hai tera basera

tu pas aur ghar dur hai tera
rah teri dushwar aur sukDi

nam tera rah-gir ki lakDi
tu hai Thikana miskinon ka

tu hai sahaara ghamginon ka
tu hai akelon ka rakhwala

tu hai andhere ghar ka ujala
lagu achchhe aur bure ka

KHwahan khoTe aur khare ka
bed nirase bimaron ka

gahak mande bazaron ka
soch mein dil bahlane wale

bipta mein yaad aane wale
(2)

ai be-waris gharon ke waris
be-bazu be-paron ke waris

be-ason ki aas hai tu hi
jagte sote pas hai tu hi

bas wale hain ya be-bas hain
tu nahin jin ka wo be-kas hain

sathi jin ka dhyan hai tera
dusrayat ki wahan nahin parwa

dil mein hai jin ke teri baDai
ginte hain wo parbat ko rai

bekas ka gham-KHwar hai tu hi
buri bani ka yar hai tu hi

dukhiya dukhi yatim aur bewa
tere hi hath un sab ka hai khewa

tu hi maraz de tu hi dawa de
tu hi dawa-daru mein shifa de

tu hi pilae zahr ke pyale
tu hi phir amrit zahr mein Dale

tu hi dilon mein aag lagae
tu hi dilon ki lagi bujhae

chumkare chumkar ke mare
mare mar ke phir chumkare

pyar ka tere puchhna kya hai
mar mein bhi ek teri maza hai

(3)
ai rahmat aur haibat wale

shafqat aur dabaghat wale
ai aTkal aur dhyan se bahar

jaan se aur pahchan se bahar
aql se koi pa nahin sakta

bhed tere hukmon mein hain kya kya
ek ko tu ne shad kiya hai

ek ke dil ko dagh diya hai
us se na tera pyar kuchh aisa

us se na tu bezar kuchh aisa
har dam teri aan nai hai

jab dekho tab shan nai hai
yahan pachhua hai wahan purwa hai

ghar ghar tera hukm naya hai
phul kahin kumlae hue hain

aur kahin phal aae hue hain
kheti ek ki hai lahraati

ek ka har dam KHun sukhati
ek paDe hain dhan ko Duboe

ek hain ghoDe bech ke soe
ek ne jab se hosh sambhaala

ranj se us ko paDa na pala
ek ne is janjal mein aa kar

chain na dekha aankh uTha kar
meinh kahin daulat ka hai barasta

hai koi pani tak ko tarasta
ek ko marne tak nahin dete

ek ukta gaya lete lete
haal gharaz duniya ka yahi hai

gham pahle aur baad KHushi hai
ranj ka hai duniya ke gila kya

tohfa yahi le de ke hai yan ka
yahan nahin banti ranj sahe bin

ranj nahin sab ek se lekin
ek se yahan ranj ek hai baala

ek se hai dard ek nirala
ghaw hai go nasur ki surat

par use kya nasur se nisbat
tap wahi diq ki shakl hai lekin

diq nahin rahti jaan liye bin
diq ho wo ya nasur ho kuchh ho

de na jo ab ummid kisi ko
roz ka gham kyun-kar sahe koi

aas na jab baqi rahe koi
tu hi kar insaf ai mere maula

kaun hai jo be-as hai jita
go ki bahut bande hain pur-arman

kam hain magar mayus hain jo yan
KHwah dukhi hai KHwah sukhi hai

jo hai ek ummid us ko bandhi hai
khetiyan jin ki khaDi hain sukhi

aas wo bandhe baiThe hain meinh ki
ghaTa jin ki asaDi mein hai

sawani ki ummid nahin hai
Dub chuki hai un ki ageti

deti hai Dhaaras un ko pachheti
ek hai is ummid pe jita

ab hui beTi ab hua beTa
ek ko jo aulad mili hai

us ko umang shadiyon ki hai
ranj hai ya qismat mein KHushi hai

kuchh hai magar ek aas bandhi hai
gham nahin un ko ghamgin hain

jo dil na-umid nahin hain
kal mein kuchh saKHti nahin aisi

kal mein hai jab aas samayn ki
sahal hai maujon se chhuTkara

jab ki nazar aata hai kinara
par nahin uTh sakti wo musibat

aaegi jis ke baad na rahat
shad ho us rah-gir ka kya dil?

mar ke kaTegi jis ki manzil
un ujDon ko kal paDe kyun-kar

ghar na basega jin ka janam bhar
un bichhDon ka kya hai Thikana?

jin ko na milne dega zamana
ab ye bala Talti nahin Tali

mujh pe hai jo taqdir ne Dali
aain bahut duniya mein bahaaren

aish ki ghar ghar paDin pukaren
paDe bahut baghon mein jhule

Dhak bahut jangal mein phule
gain aur aaen chandni raaten

barsin khulin bahut barsaten
par na khili hargiz na khilegi

wo jo kali murjhai thi dil ki
aas hi ka bas nam hai duniya

jab na rahi yahi to raha kya?
aise bidesi ka nahin gham kuchh

jis ko na ho milne ki qasam kuchh
rona un ban-basiyon ka hai

des nikala jin ko mila hai
hukm se tere par nahin chaara

kaDwi miThi sab hai gawara
zor hai kya patte ka hawa par

chahe jidhar le jae uDa kar
tinka ek aur sat samundar

jae kahan maujon se nikal kar
qismat hi mein jab thi judai

phir Talti kis tarah ye aai?
aaj ki bigDi ho to bane bhi

azal ki bigDi KHak banegi
tu jo chahe wo nahin Talta

bande ka yan bas nahin chalta
mare aur na de tu rone

thapke aur na de tu sone
Thahre ban aati hai na bhage

teri zabardasti ke aage
tujh se kahin gar bhagna chahen

band hain chaaron khunT ki rahen
tu mare aur KHwah nawaze

paDi hui hun main tere darwaze
tujh ko apna jaanti hun main

tujh se nahin to kis se kahun main
man hi sada bachche ko mare

aur bachcha man man hi pukare
(4)

ai mere zor aur qudrat wale
hikmat aur hukumat wale

main launDi teri dukhyare
darwaze ki teri bhikari

maut ki KHwahan jaan ki dushman
jaan apni hai aap ajiran

apne parae ki dhutkari
maike aur sasural pe bhaari

sah ke bahut aazar chali hun
duniya se bezar chali hun

dil par mere dagh hain jitne
munh mein bol nahin hain utne

dukh dil ka kuchh kah nahin sakti
is ke siwa kuchh kah nahin sakti

tujh pe hai raushan sab dukh dil ka
tujh se haqiqat apni kahun kya

byah ke dam pai thi na lene
lene ke yan paD gae dene

KHushi mein bhi dukh sath na aaya
gham ke siwa kuchh hat na aaya

ek KHushi ne gham ye dikhae
ek hansi ne gul hi khilae

kaisa tha ye byah ninawan
junhi paDa is ka parchawan

chain se rahne diya na ji ko
kar diya maliyameT KHushi ko

ro nahin sakti tang hun yan tak
aur roun to roun kahan tak

hans hans dil bahlaun kyun-kar
oson pyas bujhaun kyun-kar

ek ka kuchh jina nahin hota
ek na hansta bhala na rota

leTe gar sone ke bahane
paenti kal hai aur na sirhane

jagiye to bhi ban nahin paDti
jagne ki aaKHir koi had bhi

ab kal hum ko paDegi mar kar
gor hai suni sej se behtar

baat se nafrat kaam se wahshat
TuTi aas aur bujhi tabiat

aabaadi jangal ka namuna
duniya suni aur ghar suna

din hai bhayanak aur raat Darani
yun guzri sari ye jawani

bahnen aur bahneliyan meri
sath ki jo thin kheliyan meri

mil na sakin ji khol ke mujh se
KHush na huin hans bol ke mujh se

jab aain ro-dho ke gain wo
jab gain be-kal ho ke gain wo

koi nahin dil ka bahlawa
aa nahin chukta mera bulawa

aaTh pahar ka hai ye julapa
kaTungi kis tarah ranDapa

thak gai dukh sahte sahte
tham gae aansu bahte bahte

aag khuli dil ki na kisi par
ghul gai jaan andar hi andar

dekh ke chup jaana na kisi ne
jaan ko phunka dil ki lagi ne

dabi thi bhobhal mein chingari
li na kisi ne KHabar hamari

qaum mein wo KHushiyan biyahon ki
shahr mein wo dhoen sahon ki

tyauhaaron ka aae din aana
aur sab ka tyauhaar manana

wo chait aur phagun ki hawaen
wo sawan bhadon ki ghaTaen

wo garmi ki chandni raaten
wo arman bhari barsaten

kis se kahun kis taur se kaTen
KHair kaTen jis taur se kaTen

chaw ke aur KHushiyon ke samay sab
aate hain KHush kal jaan ko ho jab

ranj mein hain saman KHushi ke
aur jalane wale hi ke

ghar barkha aur piya bidesi
aaiyo barkha kahin na aisi

din ye jawani ke kaTe aise
bagh mein panchhi qaid ho jaise

rut gai sari sar Takraate
uD na sake par hote sare

kisi ne hogi kuchh kal pai
mujhe to shadi ras na aai

aas bandhi lekin na mila kuchh
phul aaya aur phal na laga kuchh

rah gaya de kar chand dikhai
chand hua par id na aai

phal ki KHatir barchhi khai
phal na mila aur jaan ganwai

ret mein zarre dekh chamakte
dauD paDi mein jhil samajh ke

chaaron khunT nazar dauDai
par pani ki bund na pai