subu TuTe
mohabbat ki namazon mein
wazu TuTe
dua roi
dua ke aasmanon par
kai chashman o lab roe
kabhi koi sabab rone ka nikla hai
magar hum be-sabab roe
zaminon aur zamanon ki ajab
ranju gardish mein
hawa ke aastane par
jhukae sar pashiman be-zaban
tanhaiyon ke qafile utre
wahi hum the
mujassam bandagi zaKHmi tamashe ke nishane par
kabhi sahme hue KHwahish ki
retili fazaon mein
tumhein dekha tumhein chaha
kabhi mausam-e-faramoshi ke narghe mein
udasi ki fasilon par
azan-e-KHud-kalami di
tumhaare faslon ko apni mahrumi ki KHalwat mein
biThaya baam-o-dar ko
ajnabiyat ke sitaron se sajaya
wahi hum the
hamari baat ke raqs-e-junun mein
kho diya tum ko
wahi tum the
wida-e-lamha-e-tajil ki KHatir
thake TuTe hue aa kar lipaT jaane
ki KHwahish mein
bikharte apni aankhon ke muqaddas motiyon mein
lamha-e-aKHir guzar jaane ki dhun mein
umr-bhar KHud se gurezan rah gae
hum tum hijab-e-na-shanasai ke
mujrim ban gae
har fasla kitne adhure faslon ka
istiara hai
samundar dekh teri aastinon mein
fughan karta kinara hai
mulaqaten, nahin phir bhi mulaqaten
mulaqaton ki kuchh ummid baqi rah na jae
ashk ka ek aaKHiri qatra bhi
yunhi bah na jae
Nazm
Mulaqaten nahin phir bhi mulaqaten
Ain Tabish