bhuli bisri yaaden ab bhi kanon mein ras gholti hain
mujh se kaisi kaisi baaten tanhai mein bolti hain
jadu kaise kaise jadu chalte hain gulzaron se
gesu kaise kaise gesu uDte hain ruKHsaron se
shamen kaisi kaisi shamen jalti hain diwaron par
parde kaise kaise parde girte hain nazzaron par
nind ke mate andhiyaron ki zalim qatil raushniyan
diye ki lau mein jalne wali jhilmil jhilmil raushniyan
nach rahi hai chand ke aage jaane kitni kali dhup
raushniyon mein Dub rahe hain jaane raat ke kitne rup
KHushbu ban ke phail chuki hain kitni yaaden kitne san
laDiyan ban ke TuT chuki hain kitni raaten kitne din
wo yaaden jo aansu ban ke palkon par lahraati hain
jaane kin kin viranon mein diye jala kar aati hain
Nazm
Mulaqat
Qamar Jameel