1
sari diwar siyah ho gai ta-halqa-e-dam
raste bujh gae ruKHsat hue rahgir tamam
apni tanhai se goya hui phir raat meri
ho na ho aaj phir aai hai mulaqat meri
ek hatheli pe hina ek hatheli pe lahu
ek nazar zahr liye ek nazar mein daru
der se manzil-e-dil mein koi aaya na gaya
furqat-e-dard mein be-ab hua taKHta-e-dagh
kis se kahiye ki bhare rang se zaKHmon ke ayagh
aur phir KHud hi chali aai mulaqat meri
aashna maut jo dushman bhi hai gham-KHwar bhi hai
wo jo hum logon ki qatil bhi hai dildar bhi hai
Nazm
Mulaqat meri
Faiz Ahmad Faiz