اردو हिंदी
Mulaqat | Shaahi Shayari
mulaqat

Nazm

Mulaqat

Makhdoom Mohiuddin

;

main aaftab pi gaya hun
sans aur baDh gai hai

tishnagi hi tishnagi
tu sar-zamin-e-itr-o-nur se utar ke

aaftab ban ke aa gai
bilor ka jahaz

abr se pare
rawan rawan

idhar andheri raat hai
shafaq ki tegh-e-surKH us taraf

tamam aasman
shahab hi shahab hai

gulal hi gulal hai
sitara ham-nashin hai

mah ham-nafas hai
saz-e-jaan-nawaz sath hai

gurez-pa safar ka
ek ek pal hai

jawedan
ilahi ye safar kabhi na KHatm ho