ye kis ki nida mawara-e-nida aa rahi hai
ye roe mashiyat hai ya ghaib ka koi nurani haala
maut ki aamad aamad hai
maut maktab-e-ilm-e-adam se nikal ke
jism KHak-o-KHashak se jaan nikalti hai
phir apni bartari surKH-rawi liye
zamin-ta-zamin aur aasman-ta-asman phirti hai
maut ek kartab-baz hai
ya tamam kartabon ki mojid hai
us ne nar aur mada ko ijad kiya
aur donon ko ham-badan kiya
phir inzal ki mausiqi mein mausiqi mein us ka gum hona hi to azal-o-abad hai
kabhi na zahir hone wali zamin ki faza aur us ka aasman to
parinde ke baatin mein hota hai
warna jism se jaan nikalte hue kis ne dekha hai
kis ne dekha hai ek dusre mein sote-jagte peD-paudon ko
hashraat ko jamadat ko
nind to kisi gum-shuda jazire ka nam hai
aur bedari to aankhon ko dhoka dene wali dhund hai
aur is dhund mein an-ginat sadiyan bit gai
phir na jazira hi mila na sadiyan mustaqbil huin
Nazm
Mukashafa-2
Ahmad Hamesh