اردو हिंदी
Mukalima | Shaahi Shayari
mukalima

Nazm

Mukalima

Iftikhar Arif

;

hawa ke parde mein kaun hai jo charagh ki lau se khelta hai
koi to hoga

jo KHilat-e-intisab pahna ke waqt ki rau se khelta hai
koi to hoga

hijab ko ramz-e-nur kahta hai aur partaw se khelta hai
koi to hoga

koi nahin hai
kahin nahin hai

ye KHush-yaqinon ke KHush-gumanon ke wahime hain jo har sawali se baiat-e-e'tibar lete hain
us ko andar se mar dete hain

to kaun hai wo jo lauh-e-ab-e-rawan pe suraj ko sabt karta hai aur baadal uchhaalta hai
jo baadalon ko samundaron par kashid karta hai aur batn-e-sadaf mein KHurshid Dhaalta hai

wo sang mein aag, aag mein rang, rang mein raushni ke imkan rakhne wala
wo KHak mein saut, saut mein harf, harf mein zindagi ke saman rakhne wala

nahin koi hai
kahin koi hai

koi to hoga