thaki thaki muzmahil hawa ke nahif jhonke
ujaD aangan mein aa ke kuchh der ruk gae the
dabi zaban se suna rahe the
wo peD jis ke sunahre patton rupahli shaKHon pe
ambarin phul gauharin phal saje hue the
jhulas chuka hai
wahan ke qurb-o-jawar mein kuchh
riwayaten aur ajib qisse bhi
us se mansub ho gae hain
magar kisi ko KHud apni tarik ruh ka
jaise koi ehsas hi nahin hai
Nazm
Mukafat
Hameed Almas