adam wajud ke ma-bain fasla hai bahut
ye fasla hamein ek roz tai to karna hai
wo kisht-e-gul ho ki hum boen rah mein kanTe
koi bhi fel ho par ek din to marna hai
hamare pichhe hain wo bhi hamein aziz hain jo
isi taraf se unhen ek din guzarna hai
saba-burida bhi gul hain wafa guzida bhi dil
ye baat zehn mein rakhni hai aur Darna hai
kisi ne pahle lagae the saya-dar shajar
inhin ki chhanw mein baiThe hain aaj hum aa kar
Nazm
Mukafat
Akhtar-ul-Iman