yahi rasta meri manzil ki taraf jata hai
jis ke footpath faqiron se aTe rahte hain
KHasta kapDon mein ye lipTe hue mariyal Dhanche
ye bhikari ki jinhen dekh ke ghin aati hai
haDDiyan jism ki nikli hui pichke hue gal
maile sar mein juen, aaza se Tapakta hua koDh
ruh bimar, badan sust, nigahen pamal
hath phailae paDe rahte hain rogi insan
chand bewaon ke madquq se pile chehre
kuchh hawas-kar nigahon mein utar jate hain
jin ke aflas-zada jism, Dhalakte sine
chand sikkon ke ewaz shab ko bika karte hain
shiddat-e-faqa se rote hue nanhe bachche
ek roTi ke niwale se bahal jate hain
ya sar-e-sham hi so jate hain bhuke pyase
man ki sukhi hui chhati ko daba kar munh mein
chand bad-zeb se shohrat-zada insan aksar
apni daulat o saKHawat ki numaish ke liye
ya kabhi rahm ke jazbe se hararat pa kar
chaar chhe paise unhen baKHsh diya karte hain
kya faqat rahm ki haqdar hain nangi ruhen?
kyun ye insanon pe insan taras khate hain?
kyun inhen dekh ke ehsas-e-tahi-dasti hai
aksar auqat main katra ke nikal jata hun?
yahi rasta meri manzil ki taraf jata hai

Nazm
Mujrim
Shakeb Jalali