mujhe un jaziron mein le jao
jo kanch jaise
chamakte hue paniyon mein ghire hain
jahan laDkiyan
nariyal ke daraKHton ke patton se
apne badan ke
KHatarnak hisse chhupati hain
phulon ke gajre pahan kar
baDi shan se muskuraati hain
bachche jahan
ret ke ghar banate hain
aur sahilon ki chamakti hui ret par
log sun-bath lete hain
pani mein ghota laga kar
sipiyan machhliyan aur ghonghe pakaDte hain
aur raat ko
chandni mein
nachte aur gate hain
aur phuns ke
nanhe munne makanon mein
aaram ki nind so jate hain
mujhe un jaziron mein le jao
jo kanch jaise
chamakte hue paniyon mein ghire hain
to mumkin hai main
aur kuchh roz ji lun
ki shahron mein ab
mera dam ghuT gaya hai
Nazm
Mujhe un jaziron mein le jao
Mohammad Alvi