mujhe to intizar-e-ishq mein hi lutf aata hai
kisi ki chahaton ka rang har dhaDkan pe tari ho
ajab sa karb bechaini musalsal be-qarari ho
nigahen muntazir furqat kasak aur aah-o-zari ho
mujhe to intizar-e-ishq mein hi lutf aata hai
kabhi pahlu mein milta hai kabhi wo dur jata hai
kisi ke jism o jaan ko ishq har lamha jalata hai
tasawwur kaise kaise dil-nashin manzar dikhata hai
mujhe to intizar-e-ishq mein hi lutf aata hai
abhi to furqat-e-jaanan ke qisse KHub likhne hain
dabi chahat ke naghme aur tarane KHub likhne hain
rifaqat mein judai ke fasane KHub likhne hain
mujhe to intizar-e-ishq mein hi lutf aata hai
'alina' intizar-e-ishq ghazlon ko saja dega
visal-e-yar to bas chand lamhon ka maza dega
milan ho phir judai aisa pal har pal saza dega
mujhe to intizar-e-ishq mein hi lutf aata hai
Nazm
Mujhe to intizar-e-ishq mein hi lutf aata hai
Aleena Itrat