ye har shab soch kar sota hun aane wali subhon mein
gulon se pattiyon se os ki bunden churani hain
shah aakash ki nazren-numa kirnon se pahle jag jaana hai
saba-e-ambarin ke lams ko mahsus karna hai
libas-e-sabz mein malbus alhaD pattiyon ki baaten sunni hain
hasin doshiza ki muskan si kaliyon se do ek baat kar lunga
magar kuchh kar nahin pata ki rahat roke rakhti hai
koi afsana paDhna ho kisi ki shairi pe baat karni ho
kisi taKHliq se pahle KHayal-o-fikr ko aazad rakhna ho
kisi sariq kisi shatir kisi kam-fahm se sachchai kahni ho
baDi masum shaklon mein chhupe ayyar ko makkar ko shisha dikhana ho
faqih-e-waqt amir-e-shahr ka qazzaq se malun se rishta batana ho
magar ye kar nahin sakta maslahat KHamosh rakhti hai
harim-e-mai-kade mein KHanqahon maTh madrason mein
barahman shaiKH se pir-e-mughan se saqiyon se aur waiz se
ye aksar sochta hun ja ke kah dun main
riya-o-kibr tahi-iKHlas aur bad-atwari se tere
jahan mein ishq uKHuwwat ilm aur aKHlaq marte hain
magar main kah nahin sakta aqidat baz rakhti hai
tassub KHud-pasandi bughz se kibr-o-hasad se
bisat-e-zehn-o-dil ko chahta hun pak kar lun
zar-o-imlak ki KHwahish se apne aap ko aazad kar lun
ki jab jab sai karta hun hawas inkar karti hai
magar iqan hai mera hamare ahd ke bachche
mere kizb-o-riya ko makr ko aur be-imani ko
nafaq-o-bad-qimashi ko mere zahir ko baatin ko
huwaida kar ke chhoDenge alal-ailan kah denge
ki mere bap aise the mere ustaz aise the
so un ki baat se aamal se sharminda hun main bhi
ye kahne se unhen izzat na rokegi
na un ko KHauf rokega
unhen kuchh bhi na rokega
chalan badla hua hoga
hamari sari izzat sari zillat dusron ke haq ki pamali
kitab-e-haq ke pannon par bahut wazeh likhi hongi
Nazm
Mujhe sharminda rakhte hain
Abu Bakr Abbad