اردو हिंदी
Mujhe kuchh dair sone do | Shaahi Shayari
mujhe kuchh dair sone do

Nazm

Mujhe kuchh dair sone do

Naz Butt

;

suno jaanan
mujhe kuchh der sona hai

aur apni aankh ki putli mein raqsan titliyon ke lams ko mahsus karna hai
suno jaanan

main aankhen band karti hun
to un maKHmur lamhon mein

tumhaare reshmi ehsas ki ek narm si KHushbu
nawah-e-jism-o-jaan mein phail jati hai

faza mahmez hoti hai
usi saat hawa-e-nim-shab nirmal suron mein gungunati hai

tumhaari yaad aati hai
to meri aankh ki putli mein raqsan titliyan mujh ko satati hain

badan mein phail jati hain
suno jaanan

mujhe kuchh der sone do
visal-asar lamhon ka pata deti gulabi titliyon ke lams ko mahsus karne do

mujhe kuchh der sona hai
mujhe kuchh der sone do