ye jo fasl-e-furqat-e-asr hai
ise kaT bhi
ye jo daftar-e-gham-e-zist hai
ise band kar
ise band kar ki wo but-farosh nahin rahe
jo asir the ruKH-e-dahr ke
tere ru-ba-ru tere chaar su
shab hast-o-bud ki rah mein tere ham-qadam
tere aainon ki shikastagi ka bharam liye
koi aur kab hai mere siwa
koi aur kab tha mere baghair
magar ai rahin-e-dam-e-alast
mere waqiye ke muqaddamat se peshtar
meri bandagi ko farogh de
kabhi dopahar ke KHumar mein
kisi aks-e-mauj-e-bala mein rakh
mere KHak-o-KHun ko nihaal kar
mujhe khol taza hawa mein rakh
Nazm
Mujhe khol taza hawa mein rakh
Farrukh Yar