mujhe KHabar hai
ye aabnusi chaTTan jo dub ke sabz taKHte pe aa giri hai
nai subuk narm pattiyon ka singhaar pi kar
sunahre lamhon ki sans mein phans ban kar aTak gai hai
mujhe yaqin hai
ki mausamon ke tilism ye tirgi uDa kar
isi sulagti chaTTan par dub ki sabz zulfen bikher denge
mujhe yaqin hai
mere kaTe bazuon ki taqat meri ragon se nahin gai hai
mere lahu ke ye surKH dhaare nai hikayat ke pesh-rau hain
nai umangon nae ujalon nae shafaq-zar ke amin hain
mujhe KHabar hai
ki ghol chiDiyon ke lashkar-e-abrha ki ab kuchh KHabar na lenge
hamari aankhon mein raushni hai magar dilon mein siyahiyan hain
udasiyon ke ghane dhuwen mein chhupi hui kaamraniyan hain
mujhe yaqin hai
ki is faza mein faraaz-e-sahra-e-be-aman hain
hazaron masum eDiyan ragaD chuke hain ragaD rahe hain
ubal paDega zarur koi hayat-afroz aab-e-shirin
sadaqaton ke bahaar-zaron ko aaKHirash tazgi milegi
mujhe KHabar hai mujhe yaqin hai
Nazm
Mujhe KHabar hai mujhe yaqin hai
Ambar Bahraichi