اردو हिंदी
Mujhe kaun bulata rahta hai | Shaahi Shayari
mujhe kaun bulata rahta hai

Nazm

Mujhe kaun bulata rahta hai

Faheem Shanas Kazmi

;

mire panw ke niche KHak nahin
kisi aur zamin ki miTTi hai

mere hath mein waqt ki rasen hain
jo pal pal phisli jati hain

aur hare daraKHton ki shaKHen
mera rasta jhankti rahti hain

aur sabz ghanera jangal hai
mere panw ke niche chand nahin

ek aur hi des ki miTTi hai
aur dhup ka dariya mauj mein hai

aur dasht mere qadmon se lipTa jata hai
mujhe koi na koi bulata hai

mere panw bhi mere panw nahin
mera jism nahin meri jaan nahin

meri aaankhon ne ghaddari ki
mere hath kisi ne kaT diye

mera dil mujhe rah mein chhoD gaya
ab dhup ka dariya mauj mein hai

aur dur koi jangal mein hai