اردو हिंदी
Mujhe kahna hai | Shaahi Shayari
mujhe kahna hai

Nazm

Mujhe kahna hai

Bashar Nawaz

;

nahin main yun nahin kahta
ki ye duniya jahannam aur hum sab is ka indhan hain

nahin yun bhi nahin kahta
ki hum jannat ke basi hain

saron par la-jawrdi shamiyane aur pairon mein
nirale zaeqon wale phalon ke peD shir o shahad ki nahren machalti hain

mujhe to bas yahi kuchh aam si kuchh chhoTi chhoTi baaten kahni hain
mujhe kahna hai

is dharti pe gulshan bhi hain sahra bhi
mahakti narm miTTi bhi

aur us ki kokh mein KHwabon ka jadu aane wali nit nai faslon ki KHushbu bhi
chaTaKHti aur tapti saKHt be-his KHun ki pyasi chaTanen bhi

mujhe kahna hai
hum sab apni dharti ki

burai aur bhalai saKHtiyon aur narmiyon achchhaiyon kotahiyon har rang
har pahlu ke mazhar hain

hamein insan ki manind
KHair o shar mohabbat aur nafrat dushmani aur dosti ke sath jina hai

isi dharti ka shahad o sam
isi dharti ke khaT-miTh jaane pahchane maze ka jam pina hai

mujhe bas itna kahna hai
ki hum ko aasmanon ya KHalaon ki koi maKHluq mat samjho