aao hum aaj hi khul kar rolen
jaane kab waqt mile
aankh mein jitne bhare hain aansu
aao hum aaj baha den un ko
ghat mein umr bhi hai
waqt bhi raftar bhi hai
kaun jaane ki milen raste kab manzil se
kaun jaane ki raha honge safar se kab tak
kaun jaane yahan kis rut ki rida se utren
phul jin mein teri mahkar na ho
kaun ye jaan sake tere huruf
mere honTon se kahan TuT giren
shahr-e-ainda ke but-KHane mein
kya pata ek teri taswir na ho
yun to ab kya hai jo khona hai mujhe
ab to bas chain se sona hai mujhe
Nazm
Mujhe Dar lagta hai
Abrar Ahmad