sitare
mujhe apna jalwa dikha
waqt ke kis KHala mein
mazahir ki kis kahkashan mein
zamane ke kis dubb-e-akbar mein
tera Thikana hai
lakhon baras se
tujhe dekhne ki talab mein
junhi sham Dhalti hai
main KHud-ba-KHud khinchta aata hun
is ghaar-e-shab mein!
ajab ghaar hai
ek bazar hai
sail-e-lamat ka
aaine nasb hain
rang uDte hain
shishon ke pichhe
chamakdar chizon ka ambar hai
reshmin than khulte hain
ek ek kar ke
tahon par tahen
lagti jati hain
muqayyash, fardar kapDon ki
aaankhon mein
chobi munaqqash chhaton se
umanDti hui raushni
jhilmilati hai
lahron ki surat
zari jhaalaron par
mutalla lakiron pe
chandi ke pannon pe
silki mahin aur ghane hashiyon par
sitare damakte hain
mawwaj jali se
aawaz aati hai
dekhen ji
bazar mein is se baDh kar murassa
koi aur kapDa nahin hai
ise jo bhi pahnega
bilkul sitara lagega
sitare ke manind chamkega
kya main tujhe dekh paunga
is lan-tarani ke gumbad mein
meri sada gunjti hi rahegi
na jaane tujhe kis ke malbus par
KHwab ki nok-e-sozan se
Tanka gaya hai!!
Nazm
Mujhe apna jalwa dikha
Rafiq Sandelvi