kya pairon ki thakan is safar ko rok sakti hai
kya raste ke roDe mere irade ko toD sakte hain
kya main yahan se wapas lauT jaunga
kya main aur aage chal nahin paunga
nahin nahin
shayad mujhe jaana hai bahut dur
go hun main thakan se chur
aur be-zar har manzar se
jo bar bar lauT kar nazar ki uktahaT ban jata hai
wahi aasman
wahi zamin
wahi chand wahi sitare
chandni mein chamakte aur mahakte wahi phul
hathon mein chubhte wahi babul
wahi mere man ko salaKHon mein lahu karne wale aqwal
lekin shayad uktahaT bhi mane na ho
qadmon ki
shayad zindagi qaidi na bane lamhon ki
ye to hawa-e-barg-o-bar ki tarah hai
jo kabhi na kabhi guzar jaegi
mere zehn ke KHazane ki upri sath ko bhi
kabhi na chhu paegi
shayad abhi aage bahut dur jaana hai
aur in bar bar aate lamhon
har bar aankh ke samne ubharte manzaron
dariyaon sahraon jangalon
ganw aur shahron
ke bhiD se mujhe koi naya rang
nikalna hoga
apne paraganda zehn ko qabr mein dafn kar ke
naya but naya mandir banana hoga
purane lafzon se naya lafz
purane maani se nae maani
KHalq karne honge
yahi nahin
mujhe parina kanon mein
samaaton ke nae paimane
aankhon ke liye
nae manzar-name se tartib dene honge
chalte chalte mere jute bhi ghis gae hain
mujhe uff juton ko hi badalna hoga
aur aankhon par nai ainak lagani hogi
taki purane shishe mein nae rang
purane na dikhai den
shayad ye thakan mujhe rok na pae
shayad main in roadon ko phalang dun
shayad apne hathon se babulon ko noch
phenkun
shayad main sin ki salaKHon ko toD kar
bahar aa jaun
aur malgaji chandni ke aks ghar
apne lahu se surKH-ru kar dun
aur qadam baDhate aage nigal jaun
shayad mujhe abhi bahut dur jaana hai
Nazm
Mujhe abhi bahut dur jaana hai
Khaleel Mamoon