main apni zat ke zindan mein kab tak rahun tanha
sahun tanha main apne aap ko kab tak
bhala kab tak
udasi aur tanhai ke in be-zaiqa zaKHmon ko
paiham chaTta jaun
musalsal jagta jaun
ki habs-e-mustaqil mein zindagi karne se behtar hai
main apne KHol se bahar nikal aaun
kisi KHud-kush dhamaka karne wale se lipaT jaun
bikhar jaun
mere apne bhi to kuchh KHwab hain 'jazil'
jo meri nind ki wadi mein aane ki tamanna
dil mein rakhte hain
jo meri rah takte hain
mujhe KHwabon ko aankhon mein pirona hai
mujhe aazad hona hai
Nazm
Mujhe aazad hona hai
Jeem Jazil