kaisi maKHluq thi
aag mein us ka ghar tha
alaw ki hiddat mein
mawwaj lahron ko
apne badan ki malahat mein
mahsus karti thi
lekin wo andar se
apne hi pani se Darti thi
kitne hi ushshaq
apni jawani mein
pani mein
ek saniya
us ko chhune ki KHwahish mein
niche umuq mein bahut niche utre
magar phir na ubhre
samundar ne manthan se
un ke wajudon ko zam kar liya
dudhiya jhag ne
aur kohna namak ne
unhen apni tezabiyat mein ghulaya
bhaDakti hui aag ne
jazr-o-mad mein lapeTa unhen
sar se pa tak jalaya
magar koi shoalon se kundan sa
sipon se moti sa
bahar na aaya
wo ab bhi samundar mein
iThlati sathon ke nile bahaw mein
apne alaw mein
qasr-e-zamurrad mein tanha bhaTakti hai
ek ba-aha aab-o-atish mein
rangon ki barish mein
ab bhi wo zulfen jhaTakti hai
to ud-o-ambar ki mahkar aati hai
qatraat uD kar
dahan kitne ghongon ka bharte hain
us ki jhalak dekhne ke liye
aaj bhi log marte hain
ab bhi yahan kashtiyon aab-dozon
jahazon ke arshon pe
us ki hi baaten hain
duniya ke sayyah
saton samundar ke mallah
us ke na hone pe
hone pe takrar karte hain
us ki kashish mein
bahut dur ke paniyon mein
safar ke liye
KHud ko tayar karte hain
main bhi yahan
muztarib aur behaal
KHasta-o-parina taKHte pe bahta hua
ek KHufta jazire ke nazdik
kya dekhta hun
ki wo ek patthar pe baiThi hai
pani pe tari hai
ek kaif sa
chandni ki lapak
aur hawa ki madhur lai pe
machhli sa niche ka dhaD us ka
shaffaf pani mein hilta hai
abreshmin nur mein
aks-e-simab sa
us ke galna chehre pe khilta hai
ab dekhiye
mujh sa mabhut aashiq
use apni aaghosh mein kaise bharta hai
gharqab hota hai
marta hai
Nazm
Mujh sa mabhut aashiq
Rafiq Sandelvi