dar mat kholo
nind ko andar mat aane do
warna
us ki ungliyan chheDengi
us album ke safhe jis mein
taswiren hain
kal ke kuchh aasebon ki
zikr chhiDega un auqat ka
dafn hain jin mein
sab meri nakaam umiden
meri be-ja kawish mere sulagte arman
phir bhaDkegi aag
phir jhulsega aaj ka daman
phir farda se
nata toDne wali baaten
taza hongi
mere hisse ki bachi hui kuchh kirnon ko
andhiyara Das lega
batti nahin bujhao
dar mat kholo
nind ko andar mat aane do
Nazm
Mujhko aaj na sone dena
Subodh Lal Saqi