main ek patthar
main ek be-jaan sard patthar
jumud-e-begangi ka mazhar
azal se hadd-e-nazar ko takti hui nigahen
KHala mein laTki hui ye bahen
zamin mujhe sath le ke dushwar manzilen lakhon ghum aai
karoDon rahon ko chum aai
falak ke sahir ne kitne afsun mujh pe phunke
mere pas-o-pesh TimTimate diye jalae
dhuen ke gahre hisar bandhe
KHuda-e-mausam ne harba-ha-e-bahaar se mujh ko aazmaya
KHizan ki saffak ungliyon ka hadaf banaya
magar meri be-hisi ne har ek hamla-awar ka sar jhukaya
isi guzargah par hun istada aur shayad yahin rahunga
jahan se guzre dhaDakte lamhon ke karwan
dhime sur mein gate
hayat-e-na-paedar ke marsiye sunate
mere badan ki amiq sardi ko sard se sard-tar banate
main kitni sadiyon se sochta hun
ki koi jumbish
zara si larzish
agar meri munjamid ragon mein KHudi ki dhimi si aanch bhar de
ye aanch lahra ke kya na kar de!
Nazm
Mujassama
Aziz Tamannai